Friday, September 4, 2009

Aaj Fir ..

Aaj fir thake haare wo kadam,
aasrey ki taraf hain lautey.
Aaj fir wohi anjaani si najren,
hazaaron raaz fir samete.
Aaj fir wohi aaj kyon hai,
Wo Kal kyon nahi hai aata?
Aaj fir tum aaye nahi kyon -
Kya raham nahi hai aata?
Aaj fir naye khwaab kayi,
humne palkon par hain sajaye.
Aaj fir apney aap ko, sanwaarey,
hain chaley hum aaye.
Aaj to weh baat keh do,
jo hai abhi tak naa kahi.
Aaj to wo aansoo baha do,
rukey hain abhi tak jo wahin.
Aaj kuch to wakt tum nikaalo,
Ye aaj kho naa jaye kahin,
zara, aaraam kadmon ko bhi de dein,
aaj to hum bas yahin.

No comments: